Skip to main content

DUROOD SHARIF KI FAZILAT

Durood Sharif Ki Fazilat ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Ne Kaha Ki
Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
“Jo Shakhs Mujh Par Ek Baar Durood Sharif Bhejega
Allah Ta’ala Uss Par 10 Martaba Rehmat Utarega
Aur Uss Ke 10 Gunaaho Ko Muaf Farmayega
Aur 10 Darze Buland Farmayega”.
– (Mishkat Sharif)
♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Hazrat Jibrail-e-Ameen Abhi Mere Paas Tashrif Laye They.
Unhone Allah Ta’ala Ki Taraf se Mujhe Ye Basharat Di Hai Ke –
*Jo Aap Par Durood Parhega, Mai Uspar Rehmat Nazil Karunga
*Aur Jo Aap Par Salaam Bhejega Me Salaam Ke Sath Uska Jawaab Dunga
– (Mishkat Sharif)
Durood Ibrahim
*Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Ala Aali Muhammad
Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.
*Allahumma Baarik Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin
Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid”.
# Tarjuma:
*Aye Allah!! Salamati Aur Rehmat Ata Farma !!
Nabi-e-Kareem Mohammad(Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Aur Unki Aal Par –
Jis Tarha Tuney Salamati Ata Farmayi Ibrahim (Alahi Salam) Par Aur Unki Aal Par ,..
Beshaq Tu Badi Tareef Wala Aur Buzurgi Wala Hai!!
*Aye Allah!! Barqat Ata Farma !!
Nabi-e-Kareem Mohammad(Sallallahu Alaihay Wasallam) Par Aur Unki Aal Par –
Jis Tarha Tuney Barqat Nazil Farmayi Ibrahim (Alahi Salam) Par Aur Unki Aal Par …
Beshaq Tu Badi Tareef Wala Aur Buzurgi Wala Hai!!

Comments

Popular posts from this blog

YAA ILAHI HAR JAGAH TERI AATA KA SAATH HO(HINDI)

RASOOL ALLAH(SALALLAHO ALYHIWASSALLAM) NOOR HAI QURAN O HADITH SE SABIT HAI

WAHABI KAFIR KYU HAI?AL JAWAB(HINDI)