ALLAH KE WALIYO SE MADAD MANGNA QURAN O HADITH SE SABIT HAI

ALLAH K BANDO KA ALLAH KI ATA SE MADADGAAR HONA
Mukhaliffen k taraf se Ahle Sunnat K Khilaf Sabse Ahem jo unwaan hai wo ye hai k Tum Gairullah se maangte ho lihaja Shirk hai awwal to pehli post pe humne Ayaat e Qurani se wajeh kiya hai k Me’aar E Uloohiyat Madadgaar hona Mushkil kusha Hona Hazatrawa hona Dastageer Hona nahi hai agr Madadgaar Hona Me’aar e Uloohiyat hota to ek lamha k liye bhi kisi ko nahi diya jaata hai Lihaja jo jaahil ye khte hai Madadgaar Maan lene Se Shirk hojayha wo  Ahkaam e Quran se khali hai Shirk tab aayga Jab IBADAT ki jaygi ALLAH ki siwa kisi aur ki to shirk hoga abhi mai aayate likhunga Madadgaar hone k talluk se
Allah Taala ne Khud Apne bando ko Apni Madad Ka Mazhar Banaya hai jo Nas e Quran se saabit hai Ab Jin Ahmak Jahilo ko Ibadat Aur Madadgaar Hone Me Fark nahi Pata wo hi jaahil hai jo Shirk k fatwe thokte hai kitna FARK hai MADAD aur IBADAT me soche to saaf saaf samajh aajayga.
MADAD Iske liye arabi lafz hai ISTEGHASA aur ISTIANAT ye dono lafz Quran me mauzood hai.

1)ISTEGHASA  : ”KISI KO MADAD K LIYE PUKARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 617)
2)ISTIA’NAT  : ”MADAD TALAB KARNA”
(Imam Raghib Asfahani Al Mufradat Alfaaz AL Quran, Pg : 598)

Ahle Sunnah Wa Jamaat Ka Aqeeda Is Talluk Se Kya Hai Ambiya Alaihumsalam Aur Aulia Allah Rizwanullahi Azmain Se Madad Maangna Zaij Hai Jabki Uska Aqeeda yeh Ho ki Hakiki Imdaad To Rab Taala Hi Ki Hai Yeh ALLAH k Bande Uski Madad k Mazhaar Hai.
Aur Musalmaan Ka yehi Akeeda Hota Hai Ek kam ilm Se leke unpad Musalman tak Ka yehi Akeeda Hota Hai Aur Wo Kisi ALLAH k Bande ko ALLAH ya ALLAH k barabar Nahi Samajhta.
WAHABI KI MAKKARI AUR JHUTO PROPOGANDA
Wahabi Mullah Gair Mukkalid Dev k pujari dono ye jitne baatil firqe hai Sabka Ahle Sunnat Wa Jaamat k khilaf ek jhoota Propoganda hota hai jisme awaam ko hamesha uljhate hai ye wo kahenge Dekho Jo ALLAH se direct maangta hai usko tum Kafir gustakh bolte ho hamara Jurm ye hai k Hum ALLAH se mangte hai tum Gair ullah se maangte ho.
Ye Sadi ka sabse bada jhoot hai hamari kisi Motebar Aalim e Deen ne ya hamari kisi motebar kutoob me ye nahi likha hai k JO ALLAH se Direct Maange wo Gustakh hai yaa kaafir hai balki Wahabi Kaafir isliye huwe hai k inke Mullao ne ALLAH AUR RASOOL ki sakht Gustakhi ki hai ye khabis apni gustakhi ko chupane k liye unwaan badal dete hai.
Aap direct maango wo bhi jaiz hai ALLAH waalo ko mazhar samajh k maango to bhi jaiz hai hamesha yaad rakhe direct ALLAH se maangne pe kisi ka Ektelaf hai hi nahi.
Ab aaye apne Dalail Ki Taraf Piche Post me humne 24 Qurani aayat se inki so called tauheed ka raddh kiya hai ab aage.


Allah Taala ne Apne Deen Ki Madad Apne Bando Se Karwaayi
Ayat 25 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا كونوا أَنصارَ اللَّهِ كَما قالَ عيسَى ابنُ مَريَمَ لِلحَوارِيّينَ مَن أَنصاري إِلَى اللَّهِ ۖ قالَ الحَوارِيّونَ نَحنُ أَنصارُ اللَّهِ ۖ فَآمَنَت طائِفَةٌ مِن بَني إِسرائيلَ وَكَفَرَت طائِفَةٌ ۖ فَأَيَّدنَا الَّذينَ آمَنوا عَلىٰ عَدُوِّهِم فَأَصبَحوا ظاهِرينَ
“Aye Imaan Waalo Allah k Deen K Madadgaar Raho Jaise Isaa Maryam K Bete Ne Hawariyo Se Kaha Tha Kon Hai Jo ALLAH ki Taraf Hoke Meri Madad Kare Hawari Bole Hum Khuda K Deen K Madadgaar Hai To Bani Israel K Ek Giroh Ne Imaan Laaya aur ek Giroh Ne Kufr Kiya To Humne Imaan Waalo Ko Unke Dushmano Par Madad Di TO Gaalib Hogaye ”

(Surah No 61 Surah Saff Ayat 14)
Ayat 26 :
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُركُم
“Aye Imaan Waalo Agar Tum Khuda k Deen Ki Madad Karoge Allah Tumhari Madad Karega”
(Al Quran Surah 47 Muhammad Ayat : 07)

Is Aayat me Mauzood hai Hazrat Isaa Alaihi Salam ne apne Hawario se madad maangi hai halanki k khud Nabi hai ALLAH ne to aayat bhejni thi naa k Isaa Ye Kya tu Nabi Hoke Gairullah se madad le raha Hai par iske Khilaf Quran me mauzood hai k ALLAH ne Aisa nahi farmaya balki us madad pe Fakr kiya hai aur Musalmaano ko bhi taakeed ki k Tum Bhi Us Trah deen ki madad karo jaise Isa Alaihi Salam k Hawario ne ki hai
Kya Allah Taala Khud Apne Deen Ki Madad Nahi Kar Sakta hai Jo Bando Se keh Raha Hai ?
Kya Matlab Huwa ALLAH k Izan k bina koi lakh koshish karle kuch nahi kar sakta kya akeeda banega Hakiki Madad to ALLAH hi karta hai bande bas Mazhar hai aur unke yaha to madadgaar hona hi shirk hai phir ye kya Shirk Huwa.

Aaalam E Arwaah Me Tamam Ambiya Alaihi Salam Se Waada k Tum Nabi E Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ki Madad Karna
Ayat 27 :
ثُمَّ جاءَكُم رَسولٌ مُصَدِّقٌ لِما مَعَكُم لَتُؤمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ
“Phir Tashrif Laaye Tumhare Pass Wo Rasool To Tum Zaroor Zaroor Unpar Imaan Laana Aur Zaroor Zaroor Unki Madad Karna”
(Surah 03 Al Imraan Ayat 81)
Ye Aayat e Mubaraka Us wakya ki tashreeh hai jab Dunya me Insaano ko bheja nahi gaya tha us wakt Tamam Insaano ki Rooh ko AALAM E ARWAAH me jama kiya gaya aur baad me fakat unki Rooh e Aqdas ko rakha gaya jo Nabiyo me Shamil hai us wakt ALLAH taala ne Tamam Nabiyo se ye waada liya k Jab Kabhi Agar Tumhare Darmiyan Nabi E KARIM صلى الله عليه و آله وسلم tashreef le aaye to unpar Imaan Laana Unka Kalima padhna aur UNKI MADAD KARNA to yaha MADAD kyu karne ko kaha ?
Hazrat Moosa Alaihi Salam Ka Hazrat Haroon Alaihi Salam Ko Apna Wazir Aur Madadgaar Banwana
Ayat 28 / 29 /30 :
وَاجعَل لي وَزيرًا مِن أَهلي -  29

هارونَ أَخِي - 30
اشدُد بِهِ أَزري - 31
“Aur Mere Liye Mere Ghar Waalo Me Se Ek Wazir Karde - 29
Woh Kaun Mera Bhai Haroon - 30

Usse Meri Kamar Mazboot Kar - 31”
(Surah 20 Surah Taha Ayat 29 - 30 -31)

Allah taala ne to ye bol dena wahabi nukte nazar se Moosa Alaihi Salam Tujhe Kalimullah Banaya Tujhe Mujhpe Tawakko na rhi jo apni madad k liye apne bhai ko intekhab kar liya Kya bharosa naa raha Apne Rab pe tune Gairullah se Madad ki maang kar li kyu naa ye farmaya Kya Moosa Alaihi Salam ko bhi tauheed nahi yaad thi ?
Balki Quran Me Allah Taala Ne Is Darkhawast k baare me kya kaha hai padhe Quran
Ayat 31 :
قالَ قَد أوتيتَ سُؤلَكَ يا موسىٰ
“Farmaya Aye Moosa Teri Maang Tujhe Ata Huwi”
(Surah 20 Surah Taha Ayat : 36)

Allah Taala ne Hazrat Moosa Alaihi Salam ki Darkhwast ko kabool kiya aur unhe basharat di k Haroon Alaihi salam ko wajeer bhi bana diya aur tera Madadgaar bhi bana diya..
Kya Taweel laynge wo jinhone me’aar e uloohiyat madadgaar ko banaya hai aur shirk k fatwe maar rhe hai wohi taweel laaynge jo AHLE SUNNAT ka mazhab hai k HAKIKI Madad ALLAH Ki Hai BANDE EK DUSRE K MAZHAR HAI.

Comments

Popular posts from this blog

YAA ILAHI HAR JAGAH TERI AATA KA SAATH HO(HINDI)

RASOOL ALLAH(SALALLAHO ALYHIWASSALLAM) NOOR HAI QURAN O HADITH SE SABIT HAI

WAHABI KAFIR KYU HAI?AL JAWAB(HINDI)